Wednesday, March 11, 2009

Lyrics Tere liye dhadke jiya

Movie - Aloo Chat


dekho zara kitna haseen hai phir
ye sama hai na
jee le zara ek pal mila jo
tanhaayee ka hai na

wahi hasna hasana
kuchh keh ke yun sharmaana
kuchh baatein yun hi
aankhon se hi kar jaana

accha lagta hai ye chehra takte jaana
ab aa jo gaye ho to na phir jaana
haan ye hi dua
yun hi sada
tere liye dhadke jiya
dhadke jiya

ye raasta gum hoga
ye dar tumhein hai na
main aas pass kahin hun
itna yakeen to hai na
teri har aahat ka
chhup chhup ke peeche peeche aana
mujhe tanhayee mein
tera ek lamha de jaana
shayad ye lamha bhi phir khuda ne
tere mere milne ka
socha hai bahana
haan ye hi dua
yun hi sada tere liye
dhadke jiya dhadke jiya

palkein yun jhuki to kuchh hua tha
ye pal jaise ruk sa gaya tha
mere sapno mein bhi
har baar tu aana
ab aa jo gaye ho to na phir jaana
haan ye hi dua
yun hi sada tere liye
dhadke jiya dhadke jiya.....2


..................

0 comments:

Post a Comment