Thursday, April 9, 2009

Lyrics of Kal Ke Sapane

Movie :
Aadmi

Music Director :
Naushad

Lyrics:
kal ke sapane aaj bhi aanaa
preetam ko bhi saath men laanaa
kal ke sapane...........................

aaj bhi din hai madhur suhaana baaj rahi hai man ki baansuriyaa
nainon ke tat pe prem ke path pe laut ke ab to aajaa saa.nvariyaa
main bhi sunaaoon dil ka taraana \-2
kal ke sapane...........................

jhoomate baadal gaate jharne aaj kisi ko dhoondh rahe hain
main to ye jaanoon saare nazaare sajana tum ko dhoondh rahe hain
aaj mujhe bhi daras dikhaana \-2
kal ke sapane...........................

meri nagariya aa more rasiya dagar-dagar main ankhiyaan bichhaaoon
dil men bithaa ke nain mila ke janam-janam ki pyaas bujhaaoon
tohe sikhaaoon preet nibhaana \-2
kal ke sapane...........................

0 comments:

Post a Comment