Thursday, April 9, 2009

Lyrics of Na Aadami Ka Koi Bharosa

Movie :
Aadmi

Music Director :
Naushad

Lyrics:

teri muhabbat pe shaq nahin hai, teri wafaaon ko maanata hoon
magar tujhe kis ki aarzoo hai, main ye haqeekat bhi jaana ta hoon

na aadami ka koi bharosa, na dosti ka koi thikaana
waafa ka badala hai bewafaai, ajab zamaana hai ye zamaana
na aadami ka koi bharosa....................

na husn men ab woh dilkashi hai, na ishq men ab woh zindagi hai
jidhar nighahen utha ke dekhoon, sitam hai dhokha hai berukhi hai
badal gaye zindagi ke naghme, bikhar gaya pyaar ka taraana
na aadami ka koi bharosa....................

dawa ke badale men zaher de do, utaar do mere dil men khanjar
lahoo se seencha tha jis chaman ko, uge hain shoole usi ke andar
mere hi ghar ke chiraag ne khud, jalaa diya mera aashiyaana
na aadami ka koi bharosa....................

0 comments:

Post a Comment